Bismillah-irrahman-irraheem.....
1. Keh dijiye mere liye Allah hi kaafi hai.
�� (Surah Tauba surah no. 9 ayat no. 129)
2. Kya Allah apne bando ke liye kaafi nahi hai.
��(Surah Zumar surah no. 39 ayat no. 36)
3. Tumhara parwardigaar hi kaarsaaz kaafi hai.
�� (Surah Bani Israeel surah no. 17 ayat no. 65)
4. Tum kuch bhi nahi chah sakte magar wahi jo Allah rabbul aalameen chahey.
�� (Surah Takvir surah no. 81 ayat no. 29)
5. Aur Allah hi kaarsaaz kafi hai aur madad ke liye bhi Allah hi kaafi hai.
�� (Surah Nisa surah no. 4 ayat no. 45)
6. Aap tawakkul (bharosa) kijiye galib wa meharbaan par.
�� (Surah Shu'ara surah no. 26 ayat no. 217)
7. Keh dijiye ke mujhe Allah hi kaafi hai ahle tawakkul ko isi par tawakkul karna chahiye.
�� (Surah Zumar surah no. 39 ayat no. 38)
8. Aur Allah hi mohmino ka kaarsaaz hai.
��(Surah Aale imran surah no. 3 ayat no. 68)
9. Aur Allah hi par bharosa rakho, wahi kaarsaaz kaafi hai.
�� (Surah Ahzaab surah no. 33 ayat no. 3)
10. Allah ke siwa koi ibadat ke layak nahi hai, to momino ko sirf usi par bharosa rakhna chahiye.
��(Surah Tagabun surah no. 64 ayat no. 13)
11. Wahi mashrik wa maghrib ka malik hai, uske siwa koi ibadat ke layak nahi, to usi ko kaarsaaz banao.
�� (Surah Muzzammil surah no. 73 ayat no. 9)
12. Paas aap Allah par bharosa kijiye, beshak aap wayez sacchayi par ho.
��(Surah Namal surah no. 27 ayat no. 79)
13. Aur har mohmin ko Allah hi par bharosa karna chahiye.
��(Surah Ibrahim surah no. 14 ayat no. 11)
14. Aur tumhe jo kuch diya gaya hai wo duniya ki zindagi ka faida hai aur jo Allah ke paas hai wo behtar aur qayam hai aur wo unke liye hai jo sirf apne rab par bharosa rakhte hai.
�� (Surah Shora surah no. 42 ayat no. 36)
15. Aur jo koi Allah par bharosa karega to Allah usko kaafi hoga.
�� (Surah Talaaq surah no. 65 ayat no. 3)
16. Aur har tawakkul karne wale ko Allah par hi tawakkul karna chahiye.
3:45pm(Surah Ibrahim surah no. 14 ayat no. 12)
17. Ae nabi (Sallallahu Alaihi Wa Sallam) Allah aapko kaafi hai aur unko bhi jo aapke pairwa hue hai.
�� (Surah Anfaal surah no. 8 ayat no. 64)
18. Tawakkul kijiye us zaat par jis ko maut nahi aani uski tareef ke saath paakeezagi karte rahiye wo apne bando ke gunaho se aagah hai.
��(Surah Furqaan surah no. 25 ayat no. 58)
19. Balki tumhare maula to Allah hai aur wo behtareen madad karne waala hai.
�� (Surah Aale imran surah no. 3 ayat no. 159)
20. Aur agar tum muh pher lo to jaan lo ke tumhara maula to Allah hai behtareen dost aur behtareen madadgaar.
��(Surah Anfaal surah no. 8 ayat no. 40)
-
No comments:
Post a Comment