Friday, 16 October 2015

AS SALAAM MU ALAIKUM WA REHMA TULLAHI WA BARKATUHU ....!!!

∗(1). Har Namaz Pichli Namaz Ke Baad Hone Wale Gunah Mita Deti Hain. – (Tanbihul Gafileen)
∗(2). Namaz Se GunaahDhulte Hain. – (Ibne Maja)
∗(3). Namazi Ke Liye Jannat Ke Darwaze Khol Diye Jate Hain. – (Tabrani)
∗(4). Namaz Imaan Ki Alamat Hain. – (Munyatul Musalli)
∗(5). Namaz Se Rozi Me Barkat Hoti Hain. – (Tanbihul Gafileen)
∗(6). Namaz Ki Toufiq Milna Allah Ta’ala Ka AehsanHain. – (Mukashftul Quloob)
∗(7). Namaz Padhkar Wahi Bethe Rahe To Firishte Dua-e-Magfirat Karte Hain. (Abu Daud)
∗(8). Namaz Padhne Wale Par Nekiyo Ki Barish Hoti Rahti Hain. – (Ehyaul Uloom)
∗(9). Namaz Behtereen Ibadat Hain. – (Delmi)
∗(10). Har Hissa-E-Zamin Tamanna Karta Hai Ki Kaash! Mujh Par KoiNamaz Padhe. – (Tabrani)
∗(11).Namaz Buraiyo Aur Bimariyo Se Bachati Hain. – (Tazqiratul Wayezeen)
∗(12).Namaz Padhne Wale Ke Gunaah Muaf Ho Jate Hain. – (Mishkat Sharif)
∗(13). Ek Namaz Dusri Namaz Tak Ke Gunaaho Ka Kaffara Hain. (Tanbihul Gafileen)
∗(14).Namazi Ke Gunaah Iss Tarah Jhadte Hain JisTarah Khiza Me Darkht Ke Patte. (Mishkat)
∗(15).Namaz Se Farig Hote Hi Gunaah Muaf Ho Jate Hain. – (Kanzul Ummal)
∗(16). Namaz Se Sagira Gunaah Muaf Ho Jate Hain. – (Muslim Sharif)
∗(17). Namazi Ke Sare Gunaah Jhad Jate Hain. – (Tanbihul Gafileen)
∗(18).Namazi Ko Pul-Sirat Par Sawariya Milengi. – (Nuzhatul Majalis)
∗(19). Namaz Padhne Se Darjaat Buland Hote Hain.– (Muslim Sharif)
∗(20). Namaz Jannat Ki Kunji Hain. – (Muslim Sharif, ibn e Maja)
∗isiliye mere dosto Namaz ki pabandi karo, aqirat ki phli manzil ki puch Namaz hai..*
Allah swt humsb ku Namaz padhne ki taufeeq ata farmaye....Aameen...!!

No comments:

Post a Comment